Masih jalaal ki umeed
Mujhpar Khudawand ne yeh
Zaahir karna chaha
Gair- kaumon se baahar mujhe nikala
Mujhe di jalaal ki daulat
Yeh bhed mujhe sikhlaya
Ke Masiha mujh mein rehta hai
Uski khatir dukh sehta hoon
Saath Masih ke khush rehta hoon
Dil se jaan se aur akl se
Pyar Khudawand se karta hoon
Khadim banaa hoon main uska
Main uske kaam karoonga
Jo usne sikhayi baatein
Saari duniya se kahoonga
Sabko ye daulat baatenge
Muft mila hai muft mein denge
Quwwat hai woh, Taaqat hai woh
Jo paayen woh kaamil honge
Aao sunayen hum chal ke
Sab duniya ko khushkhabri
Ab jaan le duniya wale
Yeh bhed ki baatein ghehri