Baadshah

ArtistShreya Kant
AlbumTeri Raahein Behtar Hain
Release DateMonday, March 7, 2011
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Yeshu Masih, jald aanewala hai,
Dekhenge baadlon pe usko sabhi
Haan yeh farmata hai kalaam bhi
Taiyaar ho jaayen hum aao sabhi,
Yeshu Masih
Hogi chaaron ore,
Bas ek hi pukaar
Baadshaah- 4
Yeshu Masih hai Baadshaah

Pehle pyar ko chor diya hai,
Aab wapas aa jaao
Tauba karke pehle jaisa
Pyar Masih ka paao
Jo awwal hai, jo aakhir hai,
Woh aisa farmaaye
Meri khaatir jaan jo dega
Sar pe taaj woh paaye
Jis kisike kaan hon woh
Sun le yeh aawaz

Jiske paas hai do dhaari talwaar
Woh aisa kehta hai
Mere apne logon mein
Shaitaan bhi chup ke baithaa hai
Jiski aankh hai aag ke sholay
Wahi dilon ko jaanchata hai
Shaitaan ki taalim na sunana
Door buton se rehna hai
Jo thaame rahega woh usey
Dega ikhteyaar, Baadshaah

Raho jaagte, chor ke jaise
Jaane kab aa jaayega
Uska khola band na hota
Band na khola jaayega
Neem garam na rehna
Pehen lo uski rehmat ki paushak
Aag mein tapaa sona le le
Daulatmand ho jaayega
Kholo darwaaze pe khada
Khatkhata rahaa, Baadshah
Yeshu Masih hai Baadshaah