Jiske kaan ho woh sunle,
Jiski aankh ho dekh le woh
Bonewala, beej bone chala -4
Kuch daane raahon pe gire,
Aur kuch parindon ne chug liye
Kuch patharili zameen pe girke,
Mitti na mili badh na sake
Aur jo gire jungli jhadon par
Unke tale dab ke rah gaye
Achi zameen par kuch gire,
Badhne lage phalne lage
Kuch sau guna phal le aaye
Saath guna kuch tees guna
Uske kalaam ko sunte ho,
Sunte ho to samjho bhi
Dil mein who boya beej hai jo
Usko zara tum seencho bhi
Maante ho to dil mein rakho,
Aur jo Woh kahta hai woh karo…
(kalaam-word/parindon-birds)