Ho Shukriya, woh hai bhala
Ho Shukriya, ho shukriya
Aao kahen uski shafkat abdi hai
Usne fatah hamen de di hai
Jo uske log hain aao sab milke gaayen
Humko Khuda ne khushi di hai
Ho shukriya-4
Maine musibat mein ki dua
Rab ne dua ko suna
Insaan mera kya kar sakega
Sang mere hai Khuda
Khudawand meri taraf se hai, dar kaisa
Woh hai madadgaar dekho mera
Meri umeed bharosa hai uspe hi
Uska har vaada hai poora hoga
Ho shukriya, ho shukriya
Aye Khuda, tera hi aasara
Tera karam, teri panaah,
Tu geet hai mera
Quwaat meri, meri najaat, aye Khuda
Jab tak jiyunga karunga
Kaamon ka tere bayaan
Darwaaze mere liye khul gaye
Main unmein daakhil hua
Kar diya radd aur nakaara jisko sabne kaha
Kone ke sire ka woh patthar hai
Hai yeh ajeeb aur Khudawand ki taraf se dekho
Jo uske sang hai mubarak hai
Ho shukriya, ho shukriya
Shafkat- love, fatah- victory, bayaan- narrate