Mahima Mein Raja Aayega

Artist Anil Kant
Album Yeshu Mere Saath Hai
Release Date Monday, January 23, 2006
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Mahima mein raja aayega, nyaya karega kahega

swarg ke adhikari ho jao, mujhse har aashish le jao

Jab main bhukha tha, tumne khana diya

Jab main pyasa tha, tumne paani diya

tha main pardesi,  tumne ghar mein rakha

Jab main behaal tha, tumne kapada diya

Haan main bimar tha, tumne dekha mujhe

quaidkhane mein tha milne aaye mujhe

 

Puchhenge tab, wo dharmi sab, humne yeh sab kab kiya

tujhko khana diya, tujhko paani diya,humne bataa kab kiya

yeshu kahega sachh kehta hoon,chhote se chhote bhai ke saath

Tumne jo bhi kiya tha wo mujhse kiya,

tumne khana diya mujhko diya

tumne paani diya,mujhko diya,

swarg ke adhikari ho jao,mujhse har aashish le jao……..

[behaal- desperate, quaidkhane- prison]