Sach sach main bolna chaahta hoon
Kuchh raaz kholna chaahta hoon
Krantikaari mere man ka, rah rah kar kuchh kehta hai
Itne arse se andar hi, andar sab kuchh sahta hai
Jhooti shaan mein bahut jee liya
Nashe ka pyaala bahut pee liya
Hum hain sabse sache acchhhe
Dharam karam ke karte dharte
Apne jaisa koi kahan hai
Chamak raha ab hindustan hai
Sabse pehle jhoota apna,
Garv todna chaahta hoon
Sach sach main…
Kehte hain mere desh ki dharti, sona ugle moti
Aaj bhi aadhi janta desh ki, bhookhe pet hai soti
Kahan hai moti, kahan hai sona
Jahan bhi dekho, rona dhona
Bhookhe nange bheek maangte,
Har chauraahe pe mil jaate
Jo kisaan ugle hai sona
Khudkhushi woh karke mar jaate,
Socho phir woh kaun hai jo
In bechhaaron ka haq khaa jaate
Vyabhchhari, bhrashtaachhari ke
Haath todna chaahta hoon
Sach sach main…
Gyaani kehte hain India mein
Paisa ho to bahut maza hai..
Jaisa kaam ho vaisa dedo,
Kaam karao, paisa dedo
Pay and smile ka badhia funda
Bas gareeb khaata hain danda
Tum jugaad paise ka karlo
Kisi tarah se pocket bharlo
Koi nahin, baapu na maiya
Aaj hai sabse bada ruppaiyya
Lalaach ke in bhedion ki main
Pol kholna chaahta hoon..
Bhole bhaale log hamaare
Baaton mein aa jaate hain..
Chaalu aur daaku jitne hain
Woh neta ban jaate hain
Kehte hain ki sabhyata ka
Bharaat se hi aarambh hua
Itne padhe likhe hain phir bhi
Anpadh desh chalaate hain..
Thoda koi hasaa de humko
Naatak zara dikha de humko
Hum bhi itne samjhdaar hain
Baaton mein aa jaate hain..
Main bhi andhi janta ki ab
Aankh kholna chaahta hoon..