woh pyari salib dikhti hai mujhe
pahad par khadi
ke maseeh ne nadamat utha
Mere liye jaan de
hai woh saleeb lahoo se bhari
dikhti hai phir bhi kitni haseen
ke masih ne qafaara diya
mujhko mile zindagi
tha naam jiska sharmindagi
ab woh salib hai zindagi
meri jeet ka bana woh nishaan
masloob yeshu masih
chodunga na mein pyari saleeb
rakhoonga isko dil ke karib
meri shifa meri najaat
hai yeh meri zindagi
Meri shifa meri najat, hai yeh meri zindagi
[Nadamat-shame, Qaffara- price, masloob- crucified]