Artist | Anish Matthew |
Album | My Son Mera Beta |
Release Date | Thursday, January 30, 2020 |
Copyright | © Trinity Sounds |
Download & Streaming Stores
Video
Lyrics
YEH KAUN SE RAASTE
Yeh kaun se raaste hain, yeh kahan main aa gaya hoon
Ssab kuch luta diya hai, sab kuch mita diya hai
Bhatka hua tha raah se, ab ghar main jaa raha hoon- 2
Duniya ki raahon mein bhatka main kitna
Khud ko mitaya kuch bhi na paaya
Neeche gira hoon toota hua hoon
Judne main jaa raha hoon
Ghar apne jaa raha hoon
Wapas main jaa raha hoon
Khatron se aaya mushkil se aaya
Mai jaanta hoon kaise main aaya
Woh jiske haathon ne mujhko khilaya
Woh jiske haathon ne mujhko chalaya
Wapas wahin jaa raha hoon
Ab ghar main jaa raha hoon